sahar milne ko KHud aai hai chaliye
sahar milne ko ḳhud aa.ī hai chaliye
hisār-e-shab se to bāhar nikaliye
nazar aa.e jahāñ bhī koī rahbar
vahīñ se rāsta apnā badliye
paḌe se rāsta apnā badliye
ki Thokar khā.iye aur phir sambhaliye
bahāroñ ne to chhoḌā gul kā dāman
chaman kī ḳhaak ab chehre pe maliye
jahāñ kī sard-mehrī kah rahī hai
ki barfānī havā meñ rah ke jaliye
na rakhiye dhuup kī tezī hamesha
kabhī to saa.e ke sāñche meñ Dhaliye
chaTTāneñ har taraf haiñ ġham kī 'nāzish'
jidhar chalnā ho dariyā ban ke chaliye
sahar milne ko KHud aai hai chaliye
hisar-e-shab se to bahar nikaliye
nazar aae jahan bhi koi rahbar
wahin se rasta apna badliye
paDe se rasta apna badliye
ki Thokar khaiye aur phir sambhaliye
bahaaron ne to chhoDa gul ka daman
chaman ki KHak ab chehre pe maliye
jahan ki sard-mehri kah rahi hai
ki barfani hawa mein rah ke jaliye
na rakhiye dhup ki tezi hamesha
kabhi to sae ke sanche mein Dhaliye
chaTTanen har taraf hain gham ki 'nazish'
jidhar chalna ho dariya ban ke chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.