sahar tak us pahaDi ke aqab mein ro ke aata hun
sahar tak us pahāḌī ke aqab meñ ro ke aatā huuñ
maiñ nuqta-hā-e-girya par ikaTThā ho ke aatā huuñ
udhar raste meñ chauthe kos par tālāb paḌtā hai
maiñ ḳhaak aur ḳhuun se luthḌī rikābeñ dho ke aatā huuñ
yahāñ ik dasht meñ fir.aun kā ahrām bantā hai
maiñ apnī pusht par chaukor patthar Dho ke aatā huuñ
abhī kuchh bāzyābī kā amal ma.akūs lagtā hai
maiñ jab bhī DhūñDne jaatā huuñ ḳhud ko kho ke aatā huuñ
jahāñ parchhā.īñ tak paḌtī nahīñ hai ḳhāk-zādoñ kī
usī ḳhālī kure par saat mausam so ke aatā huuñ
sahar tak us pahaDi ke aqab mein ro ke aata hun
main nuqta-ha-e-girya par ikaTTha ho ke aata hun
udhar raste mein chauthe kos par talab paDta hai
main KHak aur KHun se luthDi rikaben dho ke aata hun
yahan ek dasht mein firaun ka ahram banta hai
main apni pusht par chaukor patthar Dho ke aata hun
abhi kuchh bazyabi ka amal makus lagta hai
main jab bhi DhunDne jata hun KHud ko kho ke aata hun
jahan parchhain tak paDti nahin hai KHak-zadon ki
usi KHali kure par sat mausam so ke aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.