sahmā sahmā Darā sā rahtā hai
jaane kyuuñ jī bharā sā rahtā hai
kaa.ī sī jam ga.ī hai āñkhoñ par
saarā manzar harā sā rahtā hai
ek pal dekh luuñ to uThtā huuñ
jal gayā ghar zarā sā rahtā hai
sar meñ jumbish ḳhayāl kī bhī nahīñ
zānūoñ par dharā sā rahtā hai
sahma sahma Dara sa rahta hai
jaane kyun ji bhara sa rahta hai
kai si jam gai hai aankhon par
sara manzar hara sa rahta hai
ek pal dekh lun to uThta hun
jal gaya ghar zara sa rahta hai
sar mein jumbish KHayal ki bhi nahin
zanuon par dhara sa rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.