sahme sahme hain sar wale
sahme sahme haiñ sar vaale
chāroñ taraf haiñ patthar vaale
pyaas kī shiddat ko kyā jāneñ
dariyā vaale sāgar vaale
paañv nahīñ phailāte haiñ ḳhud
apnī chhoTī chādar vaale
maut ke aage ho ga.e bebas
jaadū vaale mantar vaale
mat pheñko auroñ pe patthar
tum ho shīshe ke ghar vaale
jaane kyoñ ab aate nahīñ haiñ
ḳhvāb suhāne manzar vaale
haiñ kitne bedard 'ġhazal' vo
ḳhuun ke pyāse ḳhanjar vaale
sahme sahme hain sar wale
chaaron taraf hain patthar wale
pyas ki shiddat ko kya jaanen
dariya wale sagar wale
panw nahin phailate hain KHud
apni chhoTi chadar wale
maut ke aage ho gae bebas
jadu wale mantar wale
mat phenko auron pe patthar
tum ho shishe ke ghar wale
jaane kyon ab aate nahin hain
KHwab suhane manzar wale
hain kitne bedard 'ghazal' wo
KHun ke pyase KHanjar wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.