sahn-e-chaman hai gosha-e-zindan tere baghair
sahn-e-chaman hai gosha-e-zindāñ tire baġhair
ma.amūra-e-hayāt hai vīrāñ tire baġhair
chhup chhup ke jis ko dekhne aatā thā māhtāb
zulmat-kada hai ab vo shabistāñ tire baġhair
jaltā hai chārasāz kī nādāniyoñ pe jī
maiñ aur mere dard kā darmāñ tire baġhair
sotī haiñ is meñ kitnī umīdeñ fanā kī niiñd
siina hai ek shahr-e-ḳhamoshāñ tire baġhair
merī hañsī ki thī tirā sarmāya-e-nashāt
aa dekh ab hai ḳhanda-e-giryāñ tire baġhair
mahtāb ke hujūm meñ gum ho ga.ī thī raat
phir qahr ban gayā ġham-e-daurāñ tire baġhair
jaltā hai tez tez taḌaptā hai pai-ba-pai
dil hai ki ek shola-e-larzāñ tire baġhair
maiñ hech huuñ magar mujhe itnā subuk na kar
maiñ aur nashāt-e-zīst kā armāñ tire baġhair
jis zindagī ko tū ne banāyā thā zindagī
vo zindagī hai ḳhvāb-e-pareshāñ tire baġhair
sahn-e-chaman hai gosha-e-zindan tere baghair
mamura-e-hayat hai viran tere baghair
chhup chhup ke jis ko dekhne aata tha mahtab
zulmat-kada hai ab wo shabistan tere baghair
jalta hai chaarasaz ki nadaniyon pe ji
main aur mere dard ka darman tere baghair
soti hain is mein kitni umiden fana ki nind
sina hai ek shahr-e-KHamoshan tere baghair
meri hansi ki thi tera sarmaya-e-nashat
aa dekh ab hai KHanda-e-giryan tere baghair
mahtab ke hujum mein gum ho gai thi raat
phir qahr ban gaya gham-e-dauran tere baghair
jalta hai tez tez taDapta hai pai-ba-pai
dil hai ki ek shola-e-larzan tere baghair
main hech hun magar mujhe itna subuk na kar
main aur nashat-e-zist ka arman tere baghair
jis zindagi ko tu ne banaya tha zindagi
wo zindagi hai KHwab-e-pareshan tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.