sahn ko chamka gai belon ko gila kar gai
sahn ko chamkā ga.ī beloñ ko giilā kar ga.ī
raat bārish kī falak ko aur niilā kar ga.ī
dhuup hai aur zard phūloñ ke shajar har raah par
ik ziyā-e-zahr sab saḌkoñ ko piilā kar ga.ī
kuchh to us ke apne dil kā dard bhī shāmil hī thā
kuchh nashe kī lahr bhī us ko surīlā kar ga.ī
baiTh kar maiñ likh gayā huuñ dard-e-dil kā mājrā
ḳhuun kī ik buuñd kāġhaz ko rañgīlā kar ga.ī
sahn ko chamka gai belon ko gila kar gai
raat barish ki falak ko aur nila kar gai
dhup hai aur zard phulon ke shajar har rah par
ek ziya-e-zahr sab saDkon ko pila kar gai
kuchh to us ke apne dil ka dard bhi shamil hi tha
kuchh nashe ki lahr bhi us ko surila kar gai
baiTh kar main likh gaya hun dard-e-dil ka majra
KHun ki ek bund kaghaz ko rangila kar gai
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 319)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.