sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha
sahr-e-gah-e-īd meñ daur-e-subū thā
par apne jaam meñ tujh bin lahū thā
ġhalat thā aap se ġhāfil guzarnā
na samjhe ham ki is qālib meñ tū thā
chaman kī vaz' ne ham ko kyā daaġh
ki har ġhuncha dil-e-pur-ārzū thā
gulo-ā.īnā kyā ḳhurshīd-o-mah kyā
jidhar dekhā tidhar terā hī rū thā
karoge yaad bāteñ to kahoge
ki koī rafta-e-bisyār-go thā
jahāñ par hai fasāne se hamāre
dimāġh-e-ishq ham ko bhī kabhū thā
magar dīvāna thā gul bhī kisū kā
ki pairāhan meñ so jaagā rafū thā
kahīñ kyā baal tere khul ga.e the
ki jhoñkā baav kā kuchh mushkbū thā
na dekhā 'mīr' āvāra ko lekin
ġhubār ik nā-tavāñ sā kū-ba-kū thā
sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha
par apne jam mein tujh bin lahu tha
ghalat tha aap se ghafil guzarna
na samjhe hum ki is qalib mein tu tha
chaman ki waz' ne hum ko kya dagh
ki har ghuncha dil-e-pur-arzu tha
gulo-aina kya KHurshid-o-mah kya
jidhar dekha tidhar tera hi ru tha
karoge yaad baaten to kahoge
ki koi rafta-e-bisyar-go tha
jahan par hai fasane se hamare
dimagh-e-ishq hum ko bhi kabhu tha
magar diwana tha gul bhi kisu ka
ki pairahan mein so jaga rafu tha
kahin kya baal tere khul gae the
ki jhonka baw ka kuchh mushkbu tha
na dekha 'mir' aawara ko lekin
ghubar ek na-tawan sa ku-ba-ku tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0070
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.