sahra-e-karbala-e-rah-e-ashiqan ke bich
sahrā-e-karbalā-e-rah-e-āshiqāñ ke biich
ḳhushbū sī phūTtī hai yahāñ ham-rahāñ ke biich
ranj-e-shikam tā-tishna-labī sabr hā-o-hū
ye guftugū nahīñ hai suhūlat-garāñ ke biich
ab bhī charāġh puurī tamāzat se hai faroz
ḳhargāh-e-ḳhānvāda-e-shahzādgāñ ke biich
teġhā-e-dushmanāñ se qalam ho rahe haiñ sar
lekin haiñ sarfarāz saf-e-dushmanāñ ke biich
sehn-e-abū-turāb kī chaukhaT hai karbalā
yā'nī husain dam hai ġham-e-ḳhāndāñ ke biich
sahra-e-karbala-e-rah-e-ashiqan ke bich
KHushbu si phuTti hai yahan ham-rahan ke bich
ranj-e-shikam ta-tishna-labi sabr ha-o-hu
ye guftugu nahin hai suhulat-garan ke bich
ab bhi charagh puri tamazat se hai faroz
KHargah-e-KHanwada-e-shahzadgan ke bich
tegha-e-dushmanan se qalam ho rahe hain sar
lekin hain sarfaraaz saf-e-dushmanan ke bich
sehn-e-abu-turab ki chaukhaT hai karbala
ya'ni husain dam hai gham-e-KHandan ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.