sahra-e-zindagi ke liye nur-e-dida hun
sahrā-e-zindagī ke liye nūr-e-dīda huuñ
kāñTā sahī magar maiñ gul-e-nau-damīda huuñ
mujh par khulā hai ahd-e-bahār-o-ḳhizāñ kā raaz
maiñ ik hasīn phuul kā rang-e-parīda huuñ
tujh ko bhī zindagī ne diyā dard-e-be-karāñ
maiñ bhī ġham-e-hayāt kā lazzat-chashīda huuñ
tujh se mirā ta.alluq-e-ḳhātir hai dā.imī
tū hai agar ġhazal to maiñ terā qasīda huuñ
duniyā miTī huī hai mire iḳhtisār par
doshīza-e-hayāt kī zulf-e-burīda huuñ
tum ko mire taġhāful-e-be-jā kā hai gila
maiñ kuchh dinoñ se ḳhud se bhī dāman-kashīda huuñ
maiñ sochtā huuñ mujh pe ye tohmat hai kis liye
ab vo bhī kah rahe haiñ ki maiñ barguzīda huuñ
kāñToñ se kheltā huuñ gulistān-e-ishq meñ
'parvez' fart-e-shauq meñ dāman-darīda huuñ
sahra-e-zindagi ke liye nur-e-dida hun
kanTa sahi magar main gul-e-nau-damida hun
mujh par khula hai ahd-e-bahaar-o-KHizan ka raaz
main ek hasin phul ka rang-e-parida hun
tujh ko bhi zindagi ne diya dard-e-be-karan
main bhi gham-e-hayat ka lazzat-chashida hun
tujh se mera talluq-e-KHatir hai daimi
tu hai agar ghazal to main tera qasida hun
duniya miTi hui hai mere iKHtisar par
doshiza-e-hayat ki zulf-e-burida hun
tum ko mere taghaful-e-be-ja ka hai gila
main kuchh dinon se KHud se bhi daman-kashida hun
main sochta hun mujh pe ye tohmat hai kis liye
ab wo bhi kah rahe hain ki main barguzida hun
kanTon se khelta hun gulistan-e-ishq mein
'parwez' fart-e-shauq mein daman-darida hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.