sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo
sahrā hī ġhanīmat hai, jo ghar jāoge logo
vo 'ālam-e-vahshat hai ki mar jāoge logo
yādoñ ke ta'āqub meñ agar jāoge logo
merī hī tarah tum bhī bikhar jāoge logo
vo mauj-e-sabā bhī ho to hushyār hī rahnā
sūkhe hue patte ho bikhar jāoge logo
is ḳhaak pe mausam to guzarte hī rahe haiñ
mausam hī to ho tum bhī guzar jāoge logo
ujḌe haiñ ka.ī shahr to ye shahr basā hai
ye shahr bhī chhoḌā to kidhar jāoge logo
hālāt ne chehroñ pe bahut zulm kiye haiñ
ā.īna agar dekhā to Dar jāoge logo
is par na qadam rakhnā ki ye rāh-e-vafā hai
sarshār nahīñ ho, ki guzar jāoge logo
sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo
wo 'alam-e-wahshat hai ki mar jaoge logo
yaadon ke ta'aqub mein agar jaoge logo
meri hi tarah tum bhi bikhar jaoge logo
wo mauj-e-saba bhi ho to hushyar hi rahna
sukhe hue patte ho bikhar jaoge logo
is KHak pe mausam to guzarte hi rahe hain
mausam hi to ho tum bhi guzar jaoge logo
ujDe hain kai shahr to ye shahr basa hai
ye shahr bhi chhoDa to kidhar jaoge logo
haalat ne chehron pe bahut zulm kiye hain
aaina agar dekha to Dar jaoge logo
is par na qadam rakhna ki ye rah-e-wafa hai
sarshaar nahin ho, ki guzar jaoge logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.