sahra ka safar tai kabhi paidal nahin hota
sahra ka safar tai kabhi paidal nahin hota
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
sahrā kā safar tai kabhī paidal nahīñ hotā
vo dasht magar aañkh se ojhal nahīñ hotā
tartīb se rakkhī hai har ik yaad tumhārī
ye shāna kisī bojh se ab shal nahīñ hotā
ik falsafa aisā ki samajhnā nahīñ mumkin
ek aisā muamma jo kabhī hal nahīñ hotā
ik karb kā mausam hai jo daa.im hai abhī tak
ik hijr kā qissa ki mukammal nahīñ hotā
vo hijr bhī kyā hijr jo lamhoñ ke liye ho
vo dard bhī kaisā jo musalsal nahīñ hotā
ye kār-e-mohabbat hai yahāñ daad na shohrat
is khel meñ mehnat kā koī phal nahīñ hotā
sahra ka safar tai kabhi paidal nahin hota
wo dasht magar aankh se ojhal nahin hota
tartib se rakkhi hai har ek yaad tumhaari
ye shana kisi bojh se ab shal nahin hota
ek falsafa aisa ki samajhna nahin mumkin
ek aisa muamma jo kabhi hal nahin hota
ek karb ka mausam hai jo daim hai abhi tak
ek hijr ka qissa ki mukammal nahin hota
wo hijr bhi kya hijr jo lamhon ke liye ho
wo dard bhi kaisa jo musalsal nahin hota
ye kar-e-mohabbat hai yahan dad na shohrat
is khel mein mehnat ka koi phal nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.