sahra mein zarra qatra samundar mein ja mila
sahra mein zarra qatra samundar mein ja mila
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
sahrā meñ zarra qatra samundar meñ jā milā
maiñ ḳhaak meñ milā to milā tujh ko kyā milā
ta.amīr dozaḳhoñ meñ ho shaddād kī bahisht
jannat ko chhoḌ aa.e to ġham dūsrā milā
ye to nahīñ ki ḳhvāb meñ duniyā badal ga.ī
bedār jab hue to tasavvur nayā milā
kyā kam haiñ ab bhī shahr meñ be-maġhz-o-be-libās
saudā thā ek sar meñ vo tan se judā milā
be-chārgī-o-ḳhvārī-o-darmāñdagī ke biich
mahtāb hans rahā thā gale ham se aa milā
ik jast meñ to koī na pahuñchā kamāl tak
ik umr sar khapā ke hī jo kuchh milā milā
sahra mein zarra qatra samundar mein ja mila
main KHak mein mila to mila tujh ko kya mila
tamir dozaKHon mein ho shaddad ki bahisht
jannat ko chhoD aae to gham dusra mila
ye to nahin ki KHwab mein duniya badal gai
bedar jab hue to tasawwur naya mila
kya kam hain ab bhi shahr mein be-maghz-o-be-libas
sauda tha ek sar mein wo tan se juda mila
be-chaargi-o-KHwari-o-darmandagi ke bich
mahtab hans raha tha gale hum se aa mila
ek jast mein to koi na pahuncha kamal tak
ek umr sar khapa ke hi jo kuchh mila mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.