sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main
sahrā-pasand ho ke simaTne lagā huuñ maiñ
andar se lag rahā hai ki baTne lagā huuñ maiñ
kyā phir kisī safar pe nikalnā hai ab mujhe
dīvār-o-dar se kyuuñ ye lipaTne lagā huuñ maiñ
aate haiñ jaise jaise bichhaḌne ke din qarīb
lagtā hai jaise rail se kaTne lagā huuñ maiñ
kyā mujh meñ ehtijāj kī tāqat nahīñ rahī
pīchhe kī samt kis liye haTne lagā huuñ maiñ
phir saarī umr chāñd ne rakkhā mirā ḳhayāl
ik roz kah diyā thā ki ghaTne lagā huuñ maiñ
sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main
andar se lag raha hai ki baTne laga hun main
kya phir kisi safar pe nikalna hai ab mujhe
diwar-o-dar se kyun ye lipaTne laga hun main
aate hain jaise jaise bichhaDne ke din qarib
lagta hai jaise rail se kaTne laga hun main
kya mujh mein ehtijaj ki taqat nahin rahi
pichhe ki samt kis liye haTne laga hun main
phir sari umr chand ne rakkha mera KHayal
ek roz kah diya tha ki ghaTne laga hun main
- Book : Shahdaba (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.