sahra sahra gulshan gulshan
sahrā sahrā gulshan gulshan
gard-e-tamanna dāman dāman
naqsh-e-tahayyur chehra chehra
husn-e-karāmat joban joban
ek hī sūrat jalva jalva
ek hī mūrat darpan darpan
shāna shāna gesū gesū
ḳhushbū chandan ban chandan ban
abrū abrū kaḌī kamāneñ
ḳhanjar ḳhanjar chitvan chitvan
kājal kājal jhilmil jhilmil
afshāñ afshāñ raushan raushan
ruup kī ThanDak chāñdī chāñdī
tan kā sonā kundan kundan
ras meñ Duubī saañs kī sargam
naġhma naġhma dhaḌkan dhaḌkan
chham-chham chham-chham ziina ziina
āñgan āñgan chhan-chhan chhan-chhan
ghūñghaT ghūñghaT mukhḌā mukhḌā
kauñdā kauñdā chilman chilman
sajda sajda kā'ba kā'ba
prem shivālā darshan darshan
kaise rishte kaise naate
jiinā marnā bandhan bandhan
dil meñ jvālā aañkh meñ aañsū
aag kī barkhā sāvan sāvan
jogan āñkheñ dars kī pyāsī
man bai-rāgī bhaTke ban ban
sahra sahra gulshan gulshan
gard-e-tamanna daman daman
naqsh-e-tahayyur chehra chehra
husn-e-karamat joban joban
ek hi surat jalwa jalwa
ek hi murat darpan darpan
shana shana gesu gesu
KHushbu chandan ban chandan ban
abru abru kaDi kamanen
KHanjar KHanjar chitwan chitwan
kajal kajal jhilmil jhilmil
afshan afshan raushan raushan
rup ki ThanDak chandi chandi
tan ka sona kundan kundan
ras mein Dubi sans ki sargam
naghma naghma dhaDkan dhaDkan
chham-chham chham-chham zina zina
aangan aangan chhan-chhan chhan-chhan
ghunghaT ghunghaT mukhDa mukhDa
kaunda kaunda chilman chilman
sajda sajda ka'ba ka'ba
prem shiwala darshan darshan
kaise rishte kaise nate
jina marna bandhan bandhan
dil mein jwala aankh mein aansu
aag ki barkha sawan sawan
jogan aankhen dars ki pyasi
man bai-ragi bhaTke ban ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.