sahra-sahra kahne se gulzar badalte nain
sahrā-sahrā kahne se gulzār badalte na.iiñ
dekh ke tevar dushman ke ham yaar badalte na.iiñ
baat to ye hai bande ke kirdār se ḳhushbū aa.e
gucci boss lagāne se kirdār badalte na.iiñ
ghar kī zīnat ghar vāloñ kī izzat pyaar se hai
land-cruiser porsche se ghar-bār badalte na.iiñ
jin kī fitrat meñ ho Dasnā Das ke rahte haiñ
B-A m-a karne se afkār badalte na.iiñ
baat to tab hai ka.aba-e-dil kā karne lage tavāf
rasmī umre kar ke duniyā-dār badalte na.iiñ
aisā hai ki aisā vaisā aur nahīñ hai kuchh bhī
aisā hai ki kuchh bhī ho ham pyaar badalte na.iiñ
dānish-mandī hai vo karnā jo bhī kahe tabīb
nusḳhe jeb meñ rakhne se bīmār badalte na.iiñ
jo haiñ apne vo har haal meñ apne rahte haiñ
ham mausam ko dekh ke rishte-dār badalte na.iiñ
aksar tanhā rah jaate haiñ tez-mizāj vo log
dekh ke chaal jo apnoñ kī raftār badalte na.iiñ
bārish kī sūrat jo utreñ vo hī likhe jaa.eñ
is ke ba.ad 'mubārak' ke ash.ār badalte na.iiñ
sahra-sahra kahne se gulzar badalte nain
dekh ke tewar dushman ke hum yar badalte nain
baat to ye hai bande ke kirdar se KHushbu aae
gucci boss lagane se kirdar badalte nain
ghar ki zinat ghar walon ki izzat pyar se hai
land-cruiser porsche se ghar-bar badalte nain
jin ki fitrat mein ho Dasna Das ke rahte hain
B-A m-a karne se afkar badalte nain
baat to tab hai kaba-e-dil ka karne lage tawaf
rasmi umre kar ke duniya-dar badalte nain
aisa hai ki aisa waisa aur nahin hai kuchh bhi
aisa hai ki kuchh bhi ho hum pyar badalte nain
danish-mandi hai wo karna jo bhi kahe tabib
nusKHe jeb mein rakhne se bimar badalte nain
jo hain apne wo har haal mein apne rahte hain
hum mausam ko dekh ke rishte-dar badalte nain
aksar tanha rah jate hain tez-mizaj wo log
dekh ke chaal jo apnon ki raftar badalte nain
barish ki surat jo utren wo hi likhe jaen
is ke baad 'mubarak' ke ashaar badalte nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.