Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra sahra raat karen hum

Kanchan Dobhal

sahra sahra raat karen hum

Kanchan Dobhal

MORE BYKanchan Dobhal

    sahrā sahrā raat kareñ ham

    tanhā.ī keī baat kareñ ham

    patthar-dil duniyā par āḳhir

    kyoñ zaayā jazbāt kareñ ham

    jab chāhe luuT machā deñ

    jab chāhe ḳhairāt kareñ ham

    ik-dūje ke dard TaToleñ

    kuchh bāteñ be-bāt kareñ ham

    kis āñgan ko sūkhā chhoḌeñ

    kis chhat par barsāt kareñ ham

    aap boleñ aap keī ḳhātir

    aisā kyā hazrāt kareñ ham

    parnāle bhī khul jā.eñge

    pahle kuchh barsāt kareñ ham

    ek akele kaisā hallā

    aao mil kar saath kareñ ham

    sahra sahra raat karen hum

    tanhai kei baat karen hum

    patthar-dil duniya par aaKHir

    kyon zaya jazbaat karen hum

    jab ji chahe luT macha den

    jab chahe KHairaat karen hum

    ik-duje ke dard TaTolen

    kuchh baaten be-baat karen hum

    kis aangan ko sukha chhoDen

    kis chhat par barsat karen hum

    aap hi bolen aap kei KHatir

    aisa kya hazraat karen hum

    parnale bhi khul jaenge

    pahle kuchh barsat karen hum

    ek akele kaisa halla

    aao mil kar sath karen hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now