sahra se puchhta hai koi sogwar peD
sahrā se pūchhtā hai koī sogvār peḌ
kyā ab bhī DhūñDte haiñ mujhe sabza-zār peḌ
miTTī meñ itnī taab kahāñ peḌ ban sake
dīvār se nikāl koī sāya-dār peḌ
tahzīb apnī aap numū kar rahī hai aaj
pīpal se ug paḌe haiñ khajūroñ ke chaar peḌ
baḌhte chalo ki raah nikal aa.e ḳhud-baḳhud
ugte haiñ jaise dost sar-e-kohsār peḌ
maiñ bhī zamīñ kī nasl-kushī meñ sharīk huuñ
karte nahīñ tabhī to mirā e.atibār peḌ
phūloñ kī justujū meñ hathelī hai tār-tār
duniyā ho jaise dasht meñ ik ḳhār-dār peḌ
bo.e haiñ maiñ ne biij ravayyoñ kī fasl ke
dekhegī aglī nasl yahāñ be-shumār peḌ
ai vaqt ai aziim daraḳhtoñ kī ḳhud-navisht
fihrist meñ hai ab bhī koī shāndār peḌ
us ne chhuā thā baaġh meñ bas ek peḌ ko
ab tak khaḌe hue haiñ vahāñ mushk-bār peḌ
gautam ne apnī zaat ke irfān ke liye
insān ke bajā.e kiyā iḳhtiyār peḌ
tārīḳh inqalāb kī muhtāj kab huī
patthar se ug paḌe haiñ ka.ī shāhkār peḌ
vahshat kī tez dhuup ne jhulsā ke rakh diyā
yā-rab koī falak se hī mujh par utaar peḌ
hijrat ke vaqt baap ne mujh se kahā 'munīr'
sāmāñ to sab sameT liyā aur yaar peḌ
sahra se puchhta hai koi sogwar peD
kya ab bhi DhunDte hain mujhe sabza-zar peD
miTTi mein itni tab kahan peD ban sake
diwar se nikal koi saya-dar peD
tahzib apni aap numu kar rahi hai aaj
pipal se ug paDe hain khajuron ke chaar peD
baDhte chalo ki rah nikal aae KHud-baKHud
ugte hain jaise dost sar-e-kohsar peD
main bhi zamin ki nasl-kushi mein sharik hun
karte nahin tabhi to mera eatibar peD
phulon ki justuju mein hatheli hai tar-tar
duniya ho jaise dasht mein ek KHar-dar peD
boe hain main ne bij rawayyon ki fasl ke
dekhegi agli nasl yahan be-shumar peD
ai waqt ai azim daraKHton ki KHud-nawisht
fihrist mein hai ab bhi koi shandar peD
us ne chhua tha bagh mein bas ek peD ko
ab tak khaDe hue hain wahan mushk-bar peD
gautam ne apni zat ke irfan ke liye
insan ke bajae kiya iKHtiyar peD
tariKH inqalab ki muhtaj kab hui
patthar se ug paDe hain kai shahkar peD
wahshat ki tez dhup ne jhulsa ke rakh diya
ya-rab koi falak se hi mujh par utar peD
hijrat ke waqt bap ne mujh se kaha 'munir'
saman to sab sameT liya aur yar peD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.