sahraon ne manga pani
sahrāoñ ne māñgā paanī
dariyāoñ par barsā paanī
buniyādeñ kamzor nahīñ thiiñ
dīvāroñ se aayā paanī
āḳhir kis kis niim kī jaḌ meñ
kab tak Dāleñ mīThā paanī
chhat kā haal batā detā hai
parnāle se girtā paanī
fikr-o-masā.il yād-e-jānāñ
garm havā.eñ ThanDā paanī
pyāse bachche khel rahe haiñ
machhlī machhlī kitnā paanī
sahraon ne manga pani
dariyaon par barsa pani
buniyaaden kamzor nahin thin
diwaron se aaya pani
aaKHir kis kis nim ki jaD mein
kab tak Dalen miTha pani
chhat ka haal bata deta hai
parnale se girta pani
fikr-o-masail yaad-e-jaanan
garm hawaen ThanDa pani
pyase bachche khel rahe hain
machhli machhli kitna pani
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 40)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.