saikDon dil yahan kuchalte hue
saikḌoñ dil yahāñ kuchalte hue
ham ne dekhā hai us ko chalte hue
kitnī hasrat se mujh ko taktā hai
raat bhar ik charāġh jalte hue
bārhā koshishoñ ke baad aañsū
gir paḌā aañkh se sañbhalte hue
us ne nazroñ ko merī dekh liyā
apne ruḳhsār par Tahalte hue
vasl ke baad kī vo ḳhāmoshī
sub.h ko pairahan badalte hue
saikDon dil yahan kuchalte hue
hum ne dekha hai us ko chalte hue
kitni hasrat se mujh ko takta hai
raat bhar ek charagh jalte hue
barha koshishon ke baad aansu
gir paDa aankh se sanbhalte hue
us ne nazron ko meri dekh liya
apne ruKHsar par Tahalte hue
wasl ke baad ki wo KHamoshi
subh ko pairahan badalte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.