Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sail-e-bala-e-gham na puchh kitne gharaunde Dah gae

Mohsin Ehsan

sail-e-bala-e-gham na puchh kitne gharaunde Dah gae

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    sail-e-balā-e-ġham na pūchh kitne gharauñde Dah ga.e

    naav to ḳhair naav thī saath kināre bah ga.e

    dil meñ hujūm-e-shauq thā lab pe na baat aa sakī

    abr falak pe khul ga.e biij zamīñ pe rah ga.e

    kis meñ thī tāb-e-zaḳhm-e-shauq kis meñ thā ġham hausla

    ham ye dukh uThā ga.e ham ye dard sah ga.e

    ham-safarān-e-shauq ne raah meñ haar maan

    dasht-e-shab-e-firāq meñ ham akele rah ga.e

    'mohsin'-e-be-navā ko bhī dād-e-kamāl dījiye

    vo bhī hadīs-e-dard-e-jāñ apnī ġhazal meñ kah ga.e

    sail-e-bala-e-gham na puchh kitne gharaunde Dah gae

    naw to KHair naw thi sath kinare bah gae

    dil mein hujum-e-shauq tha lab pe na baat aa saki

    abr falak pe khul gae bij zamin pe rah gae

    kis mein thi tab-e-zaKHm-e-shauq kis mein tha gham ka hausla

    hum hi ye dukh uTha gae hum hi ye dard sah gae

    ham-safaran-e-shauq ne rah mein haar man li

    dasht-e-shab-e-firaq mein hum hi akele rah gae

    'mohsin'-e-be-nawa ko bhi dad-e-kamal dijiye

    wo bhi hadis-e-dard-e-jaan apni ghazal mein kah gae

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 659)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now