sailab qasr-e-dil se guzarta hua sa hai
sailāb qasr-e-dil se guzartā huā sā hai
shīshe kā ye makān bikhartā huā sā hai
Thahre kahāñ nigāh ki sūraj hai sāmne
āñkhoñ meñ dhuup dasht utartā huā sā hai
kuchh bhī milā nahīñ hai samundar meñ Duub kar
lekin jazīra koī ubhartā huā sā hai
dhuñdlā rahe haiñ naqsh havādis kī maar se
manzar tumhārī yaad kā martā huā sā hai
ghar meñ udāsiyoñ kā hai mela lagā huā
mausam ġhamoñ kā apne nikhartā huā sā hai
lekin mujhe ye shaam jagā.egī rāt-bhar
din kā har ek zaḳhm to bhartā huā sā hai
sailab qasr-e-dil se guzarta hua sa hai
shishe ka ye makan bikharta hua sa hai
Thahre kahan nigah ki suraj hai samne
aankhon mein dhup dasht utarta hua sa hai
kuchh bhi mila nahin hai samundar mein Dub kar
lekin jazira koi ubharta hua sa hai
dhundla rahe hain naqsh hawadis ki mar se
manzar tumhaari yaad ka marta hua sa hai
ghar mein udasiyon ka hai mela laga hua
mausam ghamon ka apne nikharta hua sa hai
lekin mujhe ye sham jagaegi raat-bhar
din ka har ek zaKHm to bharta hua sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.