Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sainkaDon gham ki saughat de kar mujhe

Ved Prakash Malik Sarshar

sainkaDon gham ki saughat de kar mujhe

Ved Prakash Malik Sarshar

MORE BYVed Prakash Malik Sarshar

    saiñkaḌoñ ġham sauġhāt de kar mujhe

    phir ye kahte haiñ ham ne diyā kuchh nahīñ

    aur bhī kuchh bachā ho to de do hameñ

    taaki ye kah sako ke bachā kuchh nahīñ

    tum girā do nazar se kisī ko agar

    is se baḌh kar to us keī sazā kuchh nahīñ

    kar to luuñ zindagī meñ mohabbat sanam

    par mohabbat meñ ġham k sivā kuchh nahīñ

    chal k thak jā.iye thak ke mar jā.iye

    ye vo manzil hai jis pata kuchh nahīñ

    kyā huā hai batā kyoñ hai mujh se ḳhafā

    maiñ ne ab tak to tujh se kahā kuchh nahīñ

    ek terī mohabbat thā aasrā

    ab mirī zindagī meñ rahā kuchh nahīñ

    thī ye hasrat un se milā dījiye

    ham ko mil k bhī un se milā kuchh nahīñ

    kar diyā hai mujhe us ne barbād yuuñ

    ki gayā kuchh nahīñ aur rahā kuchh nahīñ

    yuuñ banāne ko sab kuchh banāyā gayā

    par magar us se apnā banā kuchh nahīñ

    sainkaDon gham ki saughat de kar mujhe

    phir ye kahte hain hum ne diya kuchh nahin

    aur bhi kuchh bacha ho to de do hamein

    taki ye kah sako ke bacha kuchh nahin

    tum gira do nazar se kisi ko agar

    is se baDh kar to us kei saza kuchh nahin

    kar to lun zindagi mein mohabbat sanam

    par mohabbat mein gham k siwa kuchh nahin

    chal k thak jaiye thak ke mar jaiye

    ye wo manzil hai jis ka pata kuchh nahin

    kya hua hai bata kyon hai mujh se KHafa

    main ne ab tak to tujh se kaha kuchh nahin

    ek teri mohabbat ka tha aasra

    ab meri zindagi mein raha kuchh nahin

    thi ye hasrat ki un se mila dijiye

    hum ko mil k bhi un se mila kuchh nahin

    kar diya hai mujhe us ne barbaad yun

    ki gaya kuchh nahin aur raha kuchh nahin

    yun banane ko sab kuchh banaya gaya

    par magar us se apna bana kuchh nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now