sair-e-chaman hai aur wo gul-ru kanar mein
sair-e-chaman hai aur vo gul-rū kanār meñ
maiñ be-piye bhī mast huuñ ab kī bahār meñ
kab se huuñ kyā batā.ūñ talāsh-e-bahār meñ
ik phuul bhī na thā chaman-e-rozgār meñ
chāleñ na.ī na.ī sī haiñ raftār-e-yār meñ
paḌ jā.egā ḳhalal ravish-e-rozgār meñ
dil aur jaan donoñ bhī haiñ kis shumār meñ
aap iḳhtiyār meñ haiñ to sab iḳhtiyār meñ
kyuuñ nā-umīd aap kā ummīd-vār ho
sab kuchh hai kyā nahīñ nigah-e-sharmsār meñ
mujh ko jab apnī baat kā rahtā nahīñ ḳhayāl
kyuuñ bad-zanī na aa.e dil-e-rāzdār meñ
is se ziyāda lutf kā tālib nahīñ huuñ maiñ
ummīd ban ke rah dil-e-ummīd-vār meñ
yā maut aa.egī mujhe yā niiñd aa.egī
aur ek shab guzār to duuñ intizār meñ
ai dard-e-ishq baat to jab hai ki mere dost
marne ke ba.ad chain na pā.ūñ mazār meñ
naala ḳhilāf-e-va.ada kiyā haa.e kyā kiyā
sun le jo vo to farq paḌā e'tibār meñ
vo kyuuñ bulā.eñ bazm meñ mujh bad-nasīb ko
ghul-mil ke baiThnā nahīñ aatā hai chaar meñ
maiñ ne bhī tauba toḌ dī apnī to kyā huā
duniyā ke log kyā nahīñ karte bahār meñ
merā vaqār aap kā ārām bhī gayā
āḳhir ye kyā balā hai dil-e-be-qarār meñ
ik taaza vārdāt hai har ek dam ke saath
mere irāde aa nahīñ sakte shumār meñ
sau mehrbāniyoñ ke evaz muskurā diyā
sarkār ne kamāl kiyā iḳhtisār meñ
hogā jab un kā qahr qayāmat hī aa.egī
zinde raheñge ghar meñ na murde mazār meñ
kahte haiñ log maut se bad-tar hai intizār
merī tamām-umr kaTī intizār meñ
niklegā ab ke jo bhī tirā ai muġhāñ-navāz
phūloñ meñ rakh ke deñge tujhe ham bahār meñ
nāseh bhī chāragar bhī ye do do azaab kyuuñ
munkir-nakīr aate haiñ vo bhī mazār meñ
khaa.ī huī qasam to ḳhudā ke liye na khā
apnī taraf se farq na Daal e'tibār meñ
zāhid kī tarah aur haiñ masjid meñ saikḌoñ
ye kis shumār meñ hai vahāñ kis qatār meñ
ishq aur aap vaah safī' vāh-vāh-vā
ġham aur haa.e zindagī-e-musta.ār meñ
sair-e-chaman hai aur wo gul-ru kanar mein
main be-piye bhi mast hun ab ki bahaar mein
kab se hun kya bataun talash-e-bahaar mein
ek phul bhi na tha chaman-e-rozgar mein
chaalen nai nai si hain raftar-e-yar mein
paD jaega KHalal rawish-e-rozgar mein
dil aur jaan donon bhi hain kis shumar mein
aap iKHtiyar mein hain to sab iKHtiyar mein
kyun na-umid aap ka ummid-war ho
sab kuchh hai kya nahin nigah-e-sharmsar mein
mujh ko jab apni baat ka rahta nahin KHayal
kyun bad-zani na aae dil-e-raazdar mein
is se ziyaada lutf ka talib nahin hun main
ummid ban ke rah dil-e-ummid-war mein
ya maut aaegi mujhe ya nind aaegi
aur ek shab guzar to dun intizar mein
ai dard-e-ishq baat to jab hai ki mere dost
marne ke baad chain na paun mazar mein
nala KHilaf-e-wada kiya hae kya kiya
sun le jo wo to farq paDa e'tibar mein
wo kyun bulaen bazm mein mujh bad-nasib ko
ghul-mil ke baiThna nahin aata hai chaar mein
main ne bhi tauba toD di apni to kya hua
duniya ke log kya nahin karte bahaar mein
mera waqar aap ka aaram bhi gaya
aaKHir ye kya bala hai dil-e-be-qarar mein
ek taza wardat hai har ek dam ke sath
mere irade aa nahin sakte shumar mein
sau mehrbaniyon ke ewaz muskura diya
sarkar ne kamal kiya iKHtisar mein
hoga jab un ka qahr qayamat hi aaegi
zinde rahenge ghar mein na murde mazar mein
kahte hain log maut se bad-tar hai intizar
meri tamam-umr kaTi intizar mein
niklega ab ke jo bhi tera ai mughan-nawaz
phulon mein rakh ke denge tujhe hum bahaar mein
naseh bhi chaaragar bhi ye do do azab kyun
munkir-nakir aate hain wo bhi mazar mein
khai hui qasam to KHuda ke liye na kha
apni taraf se farq na Dal e'tibar mein
zahid ki tarah aur hain masjid mein saikDon
ye kis shumar mein hai wahan kis qatar mein
ishq aur aap wah safi' wah-wah-wa
gham aur hae zindagi-e-mustaar mein
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 169)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.