Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sajan aawen to parde se nikal kar bhaar baiThungi

Hashmi Bijapuri

sajan aawen to parde se nikal kar bhaar baiThungi

Hashmi Bijapuri

MORE BYHashmi Bijapuri

    sajan aaveñ to parde se nikal kar bhaar baiThūñgī

    bahāna kar ke motiyāñ pirone haar baiThūñgī

    uno yahāñ aao kaheñge to kahūñgī kaam kartī huuñ

    aThlatī hor maThaltī chup ghaḌī do-chār baiThūñgī

    nazik meñ un ke jaane ko ḳhushī suuñ shaad huuñ dil meñ

    vale logoñ meñ dikhlāne kuuñ ho bezār baiThūñgī

    balāyāñ jiiv le maiñ paḌūñgī paañv meñ dil suuñ

    vale zāhir meñ dikhlāne kuuñ ho aġhyār baiThūñgī

    karūñgī zāhirā chup meñ ġhusa hor mān-haT lekin

    sirījan par te jiv apnā ye jiv meñ vaar baiThūñgī

    kane ko chup katī huuñ maiñ vale maiñ dil meñ ghaTkī huuñ

    nazik ho 'hāshmī' suuñ mil kar āThoñ paar baiThūñgī

    sajan aawen to parde se nikal kar bhaar baiThungi

    bahana kar ke motiyan ka pirone haar baiThungi

    uno yahan aao kahenge to kahungi kaam karti hun

    aThlati hor maThalti chup ghaDi do-chaar baiThungi

    nazik mein un ke jaane ko KHushi sun shad hun dil mein

    wale logon mein dikhlane kun ho bezar baiThungi

    balayan jiw ka le main paDungi panw mein dil sun

    wale zahir mein dikhlane kun ho aghyar baiThungi

    karungi zahira chup mein ghusa hor man-haT lekin

    sirijan par te jiw apna ye jiw mein war baiThungi

    kane ko chup kati hun main wale main dil mein ghaTki hun

    nazik ho 'hashmi' sun mil kar aaThon par baiThungi

    Source :
    • Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 41)
    • Author : Farhat Ehsas
    • Publication : Rekhta Books (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now