sajan mujh par bahut na-mehrban hai
sajan mujh par bahut nā-mehrbāñ hai
kahāñ vo āshiqāñ kā qadar-dāñ hai
kahūñ ahvāl dil kā us ko kyūñkar
bahut nāzuk-mizāj o bad-zabāñ hai
mirā dil band hai us nāznīñ par
'ajab us ḳhush-liqā meñ ek aañ hai
bhavāñ shamshīr haiñ o zulf phāñsī
har ik palak us kī mānind-e-sināñ hai
ḳhudā us ko rakhe duniyā meñ mahfūz
nihāl-e-ārzū ārām-e-jāñ hai
chandr be-vaqar hai us badr aage
safā us mukh kī har ik par 'ayāñ hai
samajhtā hai tire ash’ār 'fā.ez'
ḳhudā ke fazl suuñ vo nukta-dāñ hai
sajan mujh par bahut na-mehrban hai
kahan wo aashiqan ka qadar-dan hai
kahun ahwal dil ka us ko kyunkar
bahut nazuk-mizaj o bad-zaban hai
mera dil band hai us naznin par
'ajab us KHush-liqa mein ek aan hai
bhawan shamshir hain o zulf phansi
har ek palak us ki manind-e-sinan hai
KHuda us ko rakhe duniya mein mahfuz
nihaal-e-arzu aaram-e-jaan hai
chandr be-waqar hai us badr aage
safa us mukh ki har ek par 'ayan hai
samajhta hai tere ash’ar 'faez'
KHuda ke fazl sun wo nukta-dan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.