sajan Tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista
sajan Tuk naaz suuñ mujh paas aa āhista āhista
chhupī bāteñ apas dil kī sunā āhista āhista
ġharaz goyāñ kī bātāñ kuuñ na lā ḳhātir manīñ hargiz
sajan is baat kuuñ ḳhātir meñ lā āhista āhista
har ik kī baat sunñe par tavajjoh mat kar ai zālim
raqībāñ us siiñ hoveñge judā āhista āhista
mabādā mohtasib badmast sun kar taan meñ aave
tambūra aah kā ai dil bajā āhista āhista
'valī' hargiz apas ke dil kuuñ siine meñ na rakh ġham-gīñ
ki bar lāvegā matlab kuuñ ḳhudā āhista āhista
sajan Tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista
chhupi baaten apas dil ki suna aahista aahista
gharaz goyan ki baatan kun na la KHatir manin hargiz
sajan is baat kun KHatir mein la aahista aahista
har ek ki baat sunne par tawajjoh mat kar ai zalim
raqiban us sin howenge juda aahista aahista
mabaada mohtasib badmast sun kar tan mein aawe
tambura aah ka ai dil baja aahista aahista
'wali' hargiz apas ke dil kun sine mein na rakh gham-gin
ki bar lawega matlab kun KHuda aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.