Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sajda aur un ke aastane ka

Jaimini Sarshar

sajda aur un ke aastane ka

Jaimini Sarshar

MORE BYJaimini Sarshar

    sajda aur un ke āstāne

    hausla dekhiye zamāne

    āzmā.eñge dhaar ḳhanjar

    ye bahāna hai ḳhuuñ bahāne

    dil-e-sāda sādgī dekho

    e'tibār aur phir zamāne

    kis maze se qafas meñ ahl-e-qafas

    zikr sunte haiñ āshiyāne

    saath chalnā hai jab zamāne ke

    shikva kyuuñ kījiye zamāne

    vo zamāna abhī nahīñ aayā

    ḳhvāb dekhā thā jis zamāne

    tum ḳhud ahl-e-nazar ho ai 'sarshār'

    rañg dekhā karo zamāne

    sajda aur un ke aastane ka

    hausla dekhiye zamane ka

    aazmaenge dhaar KHanjar ki

    ye bahana hai KHun bahane ka

    dil-e-sada ki sadgi dekho

    e'tibar aur phir zamane ka

    kis maze se qafas mein ahl-e-qafas

    zikr sunte hain aashiyane ka

    sath chalna hai jab zamane ke

    shikwa kyun kijiye zamane ka

    wo zamana abhi nahin aaya

    KHwab dekha tha jis zamane ka

    tum KHud ahl-e-nazar ho ai 'sarshaar'

    rang dekha karo zamane ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now