Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sajda-e-pir-e-mughan hasil-e-irfan nikla

Vahshi Kanpuri

sajda-e-pir-e-mughan hasil-e-irfan nikla

Vahshi Kanpuri

MORE BYVahshi Kanpuri

    sajda-e-pīr-e-muġhāñ hāsil-e-irfāñ niklā

    jis ko ham kufr samajhte the vo īmāñ niklā

    kujā ḳhaak parvāz imkāñ niklā

    farsh kyā arsh bhī jaulāñ-gah-e-insāñ niklā

    shor sunte the bahut nāla-e-dil apne

    ye bhī āḳhir ko harīf-e-ġham-e-pinhāñ niklā

    ishq to ishq hai ḳhud husn bhī is gulshan meñ

    chāk-e-dil chāk-e-jigar chāk-e-garebāñ niklā

    qaid-e-ġham qaid-e-vafā qaid-e-nazar qaid-e-junūñ

    gosha gosha chaman-e-ishq dandāñ niklā

    na huī ruuh mukaddar kabhī ālā.ish se

    sho.ala har dam ḳhas-o-ḳhāshāk se uryāñ niklā

    ḳhār-e-sahrā tamanna thī ki uljheñ lekin

    pairahan meñ na junūñ ke koī dāmāñ niklā

    sajda-e-pir-e-mughan hasil-e-irfan nikla

    jis ko hum kufr samajhte the wo iman nikla

    ta kuja KHak ki parwaz ka imkan nikla

    farsh kya arsh bhi jaulan-gah-e-insan nikla

    shor sunte the bahut nala-e-dil ka apne

    ye bhi aaKHir ko harif-e-gham-e-pinhan nikla

    ishq to ishq hai KHud husn bhi is gulshan mein

    chaak-e-dil chaak-e-jigar chaak-e-gareban nikla

    qaid-e-gham qaid-e-wafa qaid-e-nazar qaid-e-junun

    gosha gosha chaman-e-ishq ka dandan nikla

    na hui ruh mukaddar kabhi aalaish se

    shoala har dam KHas-o-KHashak se uryan nikla

    KHar-e-sahra ki tamanna thi ki uljhen lekin

    pairahan mein na junun ke koi daman nikla

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now