sajda-gah-e-ahl-e-dil baad-e-fana ho jaiye
sajda-gāh-e-ahl-e-dil ba.ad-e-fanā ho jā.iye
saf.ha-e-hastī pe ik naqsh-e-vafā ho jā.iye
pā-e-ḳhud-rafta bhī hāsil zauq-e-behad bhī nasīb
rahnumā kyoñ DhūñDiye ḳhud rahnumā ho jā.iye
sham.a-sūrat ek din jalnā hai apnī aag meñ
lazzat-e-soz-e-darūñ se āshnā ho jā.iye
bandishe-rañj-o-alam fikr-e-ajal qaid-e-hayāt
dars-e-ulfat lījiye sab se rihā ho jā.iye
jazba-e-ulfat kī qīmat donoñ 'ālam bhī nahīñ
dījiye dil be-niyāz-e-mudda.ā ho jā.iye
zindagī vo hai kareñ vo jis pe takmīl-e-sitam
yuuñ basar kiije ki un kā mudda'ā ho jā.iye
kuchh na hone par jahāñ ko dard-e-ibrat dījiye
ḳhalq meñ ik paikar-e-ibrat-numā ho jā.iye
mil hī jā.egī kahīñ 'hirmāñ' fazā-e-pur-sukūñ
is jahān āb-o-gil se to judā ho jā.iye
sajda-gah-e-ahl-e-dil baad-e-fana ho jaiye
safha-e-hasti pe ek naqsh-e-wafa ho jaiye
pa-e-KHud-rafta bhi hasil zauq-e-behad bhi nasib
rahnuma kyon DhunDiye KHud rahnuma ho jaiye
shama-surat ek din jalna hai apni aag mein
lazzat-e-soz-e-darun se aashna ho jaiye
bandishe-ranj-o-alam fikr-e-ajal qaid-e-hayat
dars-e-ulfat lijiye sab se riha ho jaiye
jazba-e-ulfat ki qimat donon 'alam bhi nahin
dijiye dil be-niyaz-e-muddaa ho jaiye
zindagi wo hai karen wo jis pe takmil-e-sitam
yun basar kije ki un ka mudda'a ho jaiye
kuchh na hone par jahan ko dard-e-ibrat dijiye
KHalq mein ek paikar-e-ibrat-numa ho jaiye
mil hi jaegi kahin 'hirman' faza-e-pur-sukun
is jahan aab-o-gil se to juda ho jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.