sajdon ki rasm-e-kohan ko hosh ganwa ke bhul ja
sajdon ki rasm-e-kohan ko hosh ganwa ke bhul ja
Khumar Barabankavi
MORE BYKhumar Barabankavi
sajdoñ kī rasm-e-kohan ko hosh gañvā ke bhuul jā
sañg-e-dar-e-habīb par sar ko jhukā ke bhuul jā
ishq ko barqarār rakh dil ko lagā ke bhuul jā
is se bhī mutma.in na ho us ko bhī pā ke bhuul jā
dil se taḌap judā na kar saaz ko be-sadā na kar
dard jo ho fuġhāñ talab hoñTh hilā ke bhuul jā
dard uThe uThā kare choT lage lagā kare
kuchh bhī ho tū ba-nām-e-dost hañs ke hañsā ke bhuul jā
jām-ba-dast-o-mai-ba-jām yuuñ hī guzār sub.h-o-shām
ziist kī talḳhiyāñ mudām pī ke pilā ke bhuul jā
manzil-e-ishq se guzar be-ḳhud-o-mast-o-be-ḳhabar
choT lage to uf na kar dil ko dabā ke bhuul jā
guzre hue zamāne ko yaad na kar kabhī 'ḳhumār'
aur jo yaad aa hī jaa.e ashk bahā ke bhuul jā
sajdon ki rasm-e-kohan ko hosh ganwa ke bhul ja
sang-e-dar-e-habib par sar ko jhuka ke bhul ja
ishq ko barqarar rakh dil ko laga ke bhul ja
is se bhi mutmain na ho us ko bhi pa ke bhul ja
dil se taDap juda na kar saz ko be-sada na kar
dard jo ho fughan talab honTh hila ke bhul ja
dard uThe uTha kare choT lage laga kare
kuchh bhi ho tu ba-nam-e-dost hans ke hansa ke bhul ja
jam-ba-dast-o-mai-ba-jam yun hi guzar subh-o-sham
zist ki talKHiyan mudam pi ke pila ke bhul ja
manzil-e-ishq se guzar be-KHud-o-mast-o-be-KHabar
choT lage to uf na kar dil ko daba ke bhul ja
guzre hue zamane ko yaad na kar kabhi 'KHumar'
aur jo yaad aa hi jae ashk baha ke bhul ja
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 200)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.