saKHt garmi mein bhi sardi lag rahi
saḳht garmī meñ bhī sardī lag rahī
ab tabī.at itnī achchhī lag rahī
raat kī chunrī pe taare lag chuke
shaam ke sūraj ko haldī lag rahī
khil ga.e ḳhvāboñ ke manzar har taraf
niiñd meñ vo aur achchhī lag rahī
mausamoñ ke rang uḌte jā rahe
aur vo phūloñ meñ titlī lag rahī
jhuuT hai ye raushnī dīvār par
bas tirī tasvīr sachchī lag rahī
saKHt garmi mein bhi sardi lag rahi
ab tabiat itni achchhi lag rahi
raat ki chunri pe tare lag chuke
sham ke suraj ko haldi lag rahi
khil gae KHwabon ke manzar har taraf
nind mein wo aur achchhi lag rahi
mausamon ke rang uDte ja rahe
aur wo phulon mein titli lag rahi
jhuT hai ye raushni diwar par
bas teri taswir sachchi lag rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.