saKHt-jaan aur be-his hua hun
saḳht-jāñ aur be-his huā huuñ
ġham ke ehsās se bach gayā huuñ
dostoñ se bhī hairat-zada huuñ
ajnabī dushmanoñ meñ rahā huuñ
koī had bhī to ho sochne kī
sochtā huuñ to bas sochtā huuñ
mere qadmoñ se sar ko uThā le
maiñ tire zulm kī intihā huuñ
tū ġhazal hai sarāpā ġhazal maiñ
āḳhirī sher kā qāfiya huuñ
saKHt-jaan aur be-his hua hun
gham ke ehsas se bach gaya hun
doston se bhi hairat-zada hun
ajnabi dushmanon mein raha hun
koi had bhi to ho sochne ki
sochta hun to bas sochta hun
mere qadmon se sar ko uTha le
main tere zulm ki intiha hun
tu ghazal hai sarapa ghazal main
aaKHiri sher ka qafiya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.