saKHt mushkil azab hai jaanan
saḳht mushkil azaab hai jānāñ
jaise tū bhī sarāb hai jānāñ
ik haqīqat hai yā fasāna hai
zindagī hai yā ḳhvāb hai jānāñ
dard-e-dil umr se muqayyad thā
so vo ab be-hisāb hai jānāñ
abhī rūThe ho maan jaao tum
yahī achchhā javāb hai
ham se parda-e-nāz kyā ma.anī
chāñd to be-naqāb hai jānāñ
tum mere shahr meñ hī ho lekin
kis qadar ye itaab hai jānāñ
pur-takalluf hai aaj kī mahfil
tum kaho kyā sharāb hai jānāñ
ye hai hālat hamārī jo bhī hai
ye tirā intiḳhāb hai jānāñ
tumheñ dekheñ to aisā lagtā hai
ek sā iztirāb hai jānāñ
itnā 'barham' burā nahīñ lekin
ishq ḳhāna-ḳharāb hai jānāñ
saKHt mushkil azab hai jaanan
jaise tu bhi sarab hai jaanan
ek haqiqat hai ya fasana hai
zindagi hai ya KHwab hai jaanan
dard-e-dil umr se muqayyad tha
so wo ab be-hisab hai jaanan
abhi ruThe ho man jao tum
yahi achchha jawab hai
hum se parda-e-naz kya mani
chand to be-naqab hai jaanan
tum mere shahr mein hi ho lekin
kis qadar ye itab hai jaanan
pur-takalluf hai aaj ki mahfil
tum kaho kya sharab hai jaanan
ye hai haalat hamari jo bhi hai
ye tera intiKHab hai jaanan
tumhein dekhen to aisa lagta hai
ek sa iztirab hai jaanan
itna 'barham' bura nahin lekin
ishq KHana-KHarab hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.