salam aaya na kuchh paigham aaya
salām aaya na kuchh paiġhām aaya
taġhāful un kā mere kaam aaya
vo haiñ apne na hone se numāyāñ
nigāhoñ par nayā ilzām aaya
masal mash.hūr hai ye mai-kade meñ
huā puḳhta yahāñ jo ḳhaam aaya
hakīm-e-'asr ko mastī meñ aa kar
'ilāj-e-gardish-e-ayyām aaya
shab-e-ġham dil ko taḌpāne hī aa.e
tum aa.e yā tumhārā naam aaya
mohabbat vaqt par hākim hai phir bhī
tasavvur un kā sub.h-o-shām aaya
dar-e-pīr-e-muġhāñ par hai ye katba
gayā ḳhush-kām jo nākām aaya
jo dekhā mahd se le kar lahad tak
ga.iiñ bechainiyāñ ārām aaya
'zahīñ' pairāhan-e-yūsuf samajh kar
ġhilāf-e-kā'ba ko maiñ thaam aaya
salam aaya na kuchh paigham aaya
taghaful un ka mere kaam aaya
wo hain apne na hone se numayan
nigahon par naya ilzam aaya
masal mashhur hai ye mai-kade mein
hua puKHta yahan jo KHam aaya
hakim-e-'asr ko masti mein aa kar
'ilaj-e-gardish-e-ayyam aaya
shab-e-gham dil ko taDpane hi aae
tum aae ya tumhaara nam aaya
mohabbat waqt par hakim hai phir bhi
tasawwur un ka subh-o-sham aaya
dar-e-pir-e-mughan par hai ye katba
gaya KHush-kaam jo nakaam aaya
jo dekha mahd se le kar lahad tak
gain bechainiyan aaram aaya
'zahin' pairahan-e-yusuf samajh kar
ghilaf-e-ka'ba ko main tham aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.