salib-e-wahshat mein qaid ho kar tumhaari furqat mana rahi hun
salīb-e-vahshat meñ qaid ho kar tumhārī furqat manā rahī huuñ
qarīb aao aur aa ke dekho maiñ kaise ġham ko baḌhā rahī huuñ
junūñ kī bastī meñ aa ke jaanā ma.aal maiñ ne mohabbatoñ kā
so fasl-e-gul ko mohabbatoñ kā har ek nauha sunā rahī huuñ
mire muqaddar meñ chaar jānib hai yuuñ to vahshat kā bol-bālā
magar maiñ hamdam tumhārī rah meñ gulāb-rut ko bichhā rahī huuñ
tabīb mere ḳhabar hai tum ko miTāne apnī ye tīra-baḳhtī
maiñ shab ke qirtās par lahū se tumhārī āñkheñ banā rahī huuñ
ḳhushī ki kuchh pal bahār mujh ko kabhī jo ḳhairāt kar ga.ī thī
maiñ ḳhud ko patjhaḌ mizāj kar ke ab us kā qarza chukā rahī huuñ
salib-e-wahshat mein qaid ho kar tumhaari furqat mana rahi hun
qarib aao aur aa ke dekho main kaise gham ko baDha rahi hun
junun ki basti mein aa ke jaana maal main ne mohabbaton ka
so fasl-e-gul ko mohabbaton ka har ek nauha suna rahi hun
mere muqaddar mein chaar jaanib hai yun to wahshat ka bol-baala
magar main hamdam tumhaari rah mein gulab-rut ko bichha rahi hun
tabib mere KHabar hai tum ko miTane apni ye tira-baKHti
main shab ke qirtas par lahu se tumhaari aankhen bana rahi hun
KHushi ki kuchh pal bahaar mujh ko kabhi jo KHairaat kar gai thi
main KHud ko patjhaD mizaj kar ke ab us ka qarza chuka rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.