Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saliqe se agar toDen to kanTe TuT jate hai

Wasim Nadir

saliqe se agar toDen to kanTe TuT jate hai

Wasim Nadir

MORE BYWasim Nadir

    salīqe se agar toḌeñ to kāñTe TuuT jaate hai

    magar afsos ye hai phuul pahle TuuT jaate hai

    mohabbat bojh ban kar bhale rahtī ho kāñdhoñ par

    magar ye bojh haTtā hai to kāñdhe TuuT jaate haiñ

    bichhaḌ kar aap se ye tajraba ho gayā āḳhir

    maiñ aksar sochtā thā log kaise TuuT jaate hai

    mirī auqāt kyā hai maiñ ik nanhā aañsū huuñ

    bulandī se to gir kar achchhe achchhe TuuT jaate haiñ

    bahut din maslahat qaid meñ rahte nahīñ jazbe

    mohabbat jab sadā detī hai piñjre TuuT jaate haiñ

    ziyāda kāmyābī bhī bahut nuqsān detī hai

    phaloñ bojh baḌhne se bhī paude TuuT jaate hai

    sitam ye hai maiñ us raste pe nañge pair chaltā huuñ

    jahāñ chalte hue logoñ ke juute TuuT jaate hai

    saliqe se agar toDen to kanTe TuT jate hai

    magar afsos ye hai phul pahle TuT jate hai

    mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kandhon par

    magar ye bojh haTta hai to kandhe TuT jate hain

    bichhaD kar aap se ye tajraba ho hi gaya aaKHir

    main aksar sochta tha log kaise TuT jate hai

    meri auqat hi kya hai main ek nanha sa aansu hun

    bulandi se to gir kar achchhe achchhe TuT jate hain

    bahut din maslahat ki qaid mein rahte nahin jazbe

    mohabbat jab sada deti hai pinjre TuT jate hain

    ziyaada kaamyabi bhi bahut nuqsan deti hai

    phalon ka bojh baDhne se bhi paude TuT jate hai

    sitam ye hai main us raste pe nange pair chalta hun

    jahan chalte hue logon ke jute TuT jate hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now