sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda
Interesting Fact
In November 1933, with the grace of Hazrat Amir-ul-Momineen Nadir Shah Ghazi (may Allah have mercy on him), the author was blessed with a visit to the holy shrine of Hakim Sanai Ghaznavi (may Allah have mercy on him). On this day, this pen wrote in Saeed's memory. (Bal-e-Jibril)
samā saktā nahīñ pahnā-e-fitrat meñ mirā saudā
ġhalat thā ai junūñ shāyad tirā andāza-e-sahrā
ḳhudī se is tilism-e-rañg-o-bū ko toḌ sakte haiñ
yahī tauhīd thī jis ko na tū samjhā na maiñ samjhā
nigah paidā kar ai ġhāfil tajallī ain-e-fitrat hai
ki apnī mauj se begāna rah saktā nahīñ dariyā
raqābat 'ilm o 'irfāñ meñ ġhalat-bīnī hai mimbar kī
ki vo hallāj kī suulī ko samjhā hai raqīb apnā
ḳhudā ke paak bandoñ ko hukūmat meñ ġhulāmī meñ
zirah koī agar mahfūz rakhtī hai to istiġhnā
na kar taqlīd ai jibrīl mere jazb-o-mastī kī
tan-āsāñ arshiyoñ ko zikr o tasbīh o tavāf aulā
bahut dekhe haiñ maiñ ne mashriq o maġhrib ke mai-ḳhāne
yahāñ saaqī nahīñ paidā vahāñ be-zauq hai sahbā
na īrāñ meñ rahe baaqī na tūrāñ meñ rahe baaqī
vo bande faqr thā jin kā halāk-e-qaisar-o-kisrā
yahī shaiḳh-e-haram hai jo churā kar bech khātā hai
galīm-e-būzar o dalq-e-uves o chādar-e-zahrā
huzūr-e-haq meñ isrāfīl ne merī shikāyat kī
ye banda vaqt se pahle qayāmat kar na de barpā
nidā aa.ī ki āshob-e-qayāmat se ye kyā kam hai
girafta chīniyāñ ehrām o makkī ḳhufta dar bat.hā
labālab shīsha-e-tahzīb-e-hāzir hai mai-e-lā se
magar saaqī ke hāthoñ meñ nahīñ paimāna-e-illā
dabā rakkhā hai is ko zaḳhma-var kī tez-dastī ne
bahut nīche suroñ meñ hai abhī europe kā vāvailā
isī dariyā se uThtī hai vo mauj-e-tund-jaulāñ bhī
nahangoñ ke nasheman jis se hote haiñ tah-o-bālā
ġhulāmī kyā hai zauq-e-husn-o-zebā.ī se mahrūmī
jise zebā kaheñ āzād bande hai vahī zebā
bharosā kar nahīñ sakte ġhulāmoñ kī basīrat par
ki duniyā meñ faqat mardān-e-hur kī aañkh hai biinā
vahī hai sāhib-e-imroz jis ne apnī himmat se
zamāne ke samundar se nikālā gauhar-e-fardā
farañgī shīshagar ke fan se patthar ho ga.e paanī
mirī iksīr ne shīshe ko baḳhshī saḳhtī-e-ḳhārā
rahe haiñ aur haiñ fir.aun merī ghaat meñ ab tak
magar kyā ġham ki merī āstīñ meñ hai yad-e-baizā
vo chingārī ḳhas-o-ḳhāshāk se kis tarah dab jaa.e
jise haq ne kiyā ho nīstāñ ke vāste paidā
mohabbat ḳheshtan biinī mohabbat ḳheshtan daarī
mohabbat āstān-e-qaisar-o-kisrā se be-parvā
'ajab kyā gar mah o parvīñ mire naḳhchīr ho jaa.eñ
ki bar fitrāk-e-sāhib daulat-e-bastam sar-e-ḳhud rā
vo dāna-e-subul ḳhatmur-rusul maulā-e-kul jis ne
ġhubār-e-rāh ko baḳhshā faroġh-e-vādī-e-sīnā
nigāh-e-ishq o mastī meñ vahī avval vahī āḳhir
vahī qur.āñ vahī furqāñ vahī yāsīñ vahī taahā
'sanā.ī' ke adab se maiñ ne ġhavvāsī na kī varna
abhī is bahr meñ baaqī haiñ lākhoñ lūlu-e-lālā
sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda
ghalat tha ai junun shayad tera andaza-e-sahra
KHudi se is tilism-e-rang-o-bu ko toD sakte hain
yahi tauhid thi jis ko na tu samjha na main samjha
nigah paida kar ai ghafil tajalli ain-e-fitrat hai
ki apni mauj se begana rah sakta nahin dariya
raqabat 'ilm o 'irfan mein ghalat-bini hai mimbar ki
ki wo hallaj ki suli ko samjha hai raqib apna
KHuda ke pak bandon ko hukumat mein ghulami mein
zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighna
na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki
tan-asan arshiyon ko zikr o tasbih o tawaf aula
bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-KHane
yahan saqi nahin paida wahan be-zauq hai sahba
na iran mein rahe baqi na turan mein rahe baqi
wo bande faqr tha jin ka halak-e-qaisar-o-kisra
yahi shaiKH-e-haram hai jo chura kar bech khata hai
galim-e-buzar o dalq-e-uwes o chadar-e-zahra
huzur-e-haq mein israfil ne meri shikayat ki
ye banda waqt se pahle qayamat kar na de barpa
nida aai ki aashob-e-qayamat se ye kya kam hai
girafta chiniyan ehram o makki KHufta dar batha
labaalab shisha-e-tahzib-e-hazir hai mai-e-la se
magar saqi ke hathon mein nahin paimana-e-illa
daba rakkha hai is ko zaKHma-war ki tez-dasti ne
bahut niche suron mein hai abhi europe ka wawaila
isi dariya se uThti hai wo mauj-e-tund-jaulan bhi
nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-baala
ghulami kya hai zauq-e-husn-o-zebai se mahrumi
jise zeba kahen aazad bande hai wahi zeba
bharosa kar nahin sakte ghulamon ki basirat par
ki duniya mein faqat mardan-e-hur ki aankh hai bina
wahi hai sahib-e-imroz jis ne apni himmat se
zamane ke samundar se nikala gauhar-e-farda
farangi shishagar ke fan se patthar ho gae pani
meri iksir ne shishe ko baKHshi saKHti-e-KHara
rahe hain aur hain firaun meri ghat mein ab tak
magar kya gham ki meri aastin mein hai yad-e-baiza
wo chingari KHas-o-KHashak se kis tarah dab jae
jise haq ne kiya ho nistan ke waste paida
mohabbat KHeshtan bini mohabbat KHeshtan dari
mohabbat aastan-e-qaisar-o-kisra se be-parwa
'ajab kya gar mah o parwin mere naKHchir ho jaen
ki bar fitrak-e-sahib daulat-e-bastam sar-e-KHud ra
wo dana-e-subul KHatmur-rusul maula-e-kul jis ne
ghubar-e-rah ko baKHsha farogh-e-wadi-e-sina
nigah-e-ishq o masti mein wahi awwal wahi aaKHir
wahi quran wahi furqan wahi yasin wahi taha
'sanai' ke adab se main ne ghawwasi na ki warna
abhi is bahr mein baqi hain lakhon lulu-e-lala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.