Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

Mirza Azfari

samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

Mirza Azfari

MORE BYMirza Azfari

    samajh ghar yaar maiñ shah-nashīn-e-dil ko dhotā huuñ

    kaheñ haiñ log dīvāne ki dīvāna huuñ rotā huuñ

    bujhā.e ashk ye ḳhuuñ ke jo favvāre uchhalte haiñ

    mizha se yaar ke le nashtar āñkhoñ meñ chubhotā huuñ

    madad ai ḳhizr-e-girya ġharq kariyo nāv-e-dil aaj

    ye hai Dubvāne vaalā maiñ ise pahle Dubotā huuñ

    but-e-sañgīn dil dekh tasvīr āñkheñ pathrā.īñ

    ThiThuk huuñ naqsh-e-qālīñ na rotā huuñ na sotā huuñ

    maiñ kū-e-maikashān-o-mahvashāñ ke muttasil pahuñchā

    ḳhabar-dār ai harīfo ab havās-o-hosh khotā huuñ

    mabādā mere gul-rū gul-e-ruḳhsār murjhāve

    phuvār ai 'azfarī' de āñsuoñ maiñ bhigotā huuñ

    samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

    kahen hain log diwane ki diwana hun rota hun

    bujhae ashk ye KHun ke jo fawware uchhalte hain

    mizha se yar ke le nashtar aankhon mein chubhota hun

    madad ai KHizr-e-girya gharq kariyo naw-e-dil aaj hi

    ye hai Dubwane wala main ise pahle Dubota hun

    but-e-sangin dil ki dekh taswir aankhen pathrain

    ThiThuk hun naqsh-e-qalin sa na rota hun na sota hun

    main ku-e-maikashan-o-mahwashan ke muttasil pahuncha

    KHabar-dar ai harifo ab hawas-o-hosh khota hun

    mabaada mere gul-ru ka gul-e-ruKHsar murjhawe

    phuwar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigota hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now