samajh sake jo meri baat wo kalam kare
samajh sake jo mirī baat vo kalām kare
nahīñ samajhtā to bas duur se salām kare
jise bhī chāhiye ḳhairāt meñ mirī āvāz
vo pahle merī ḳhamoshī kā ehtirām kare
kivāḌ khulte hī varna badan se lipTegī
use kaho ki udāsī kā intizām kare
muāmlāt jahāñ us ke vāste chhoḌe
aur ek vo hai jo fursat se apne kaam kare
mujhe sukūñ hī vo āvāz sun ke aatā hai
to kyoñ na rabt-e-musalsal vo mere naam kare
samajh sake jo meri baat wo kalam kare
nahin samajhta to bas dur se salam kare
jise bhi chahiye KHairaat mein meri aawaz
wo pahle meri KHamoshi ka ehtiram kare
kiwaD khulte hi warna badan se lipTegi
use kaho ki udasi ka intizam kare
muamlat jahan us ke waste chhoDe
aur ek wo hai jo fursat se apne kaam kare
mujhe sukun hi wo aawaz sun ke aata hai
to kyon na rabt-e-musalsal wo mere nam kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.