Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua

Jamuna Parsad Rahi

samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua

Jamuna Parsad Rahi

MORE BYJamuna Parsad Rahi

    samand-e-ḳhvāb vahāñ chhoḌ kar ravāna huā

    jahāñ surāġh-e-safar koī naqsh-e-pā na huā

    ajiib aag lagā kar koī ravāna huā

    mire makān ko jalte hue zamāna huā

    maiñ thā kahāñ musavvir ki pūjtī duniyā

    bahut huā to mirā ghar nigār-ḳhāna huā

    ugaao dard fasleñ ki zindagī jaage

    lahū fasl ugāte hue zamāna huā

    maiñ ā.īna huuñ har ik sāhib-e-nazar ke liye

    magar ḳhud apne chehre se āshnā na huā

    bikhar ga.ī thī sar-e-rāh zindagī lekin

    qadam ruke to mirā farz tāziyāna huā

    samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua

    jahan suragh-e-safar koi naqsh-e-pa na hua

    ajib aag laga kar koi rawana hua

    mere makan ko jalte hue zamana hua

    main tha kahan ka musawwir ki pujti duniya

    bahut hua to mera ghar nigar-KHana hua

    ugao dard ki faslen ki zindagi jage

    lahu ki fasl ugate hue zamana hua

    main aaina hun har ek sahib-e-nazar ke liye

    magar KHud apne hi chehre se aashna na hua

    bikhar gai thi sar-e-rah zindagi lekin

    qadam ruke to mera farz taziyana hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now