samar se puchh lo zauq-e-tarash kaisa hai
samar se pūchh lo zauq-e-tarāsh kaisā hai
vo dil jo tum ne kiyā qaash qaash kaisā hai
koī to saql girā hogā bahr-e-sākit meñ
vagarna phir ye dilī irti.āsh kaisā hai
na ta.aziyat kī zarūrat na fikr-e-ġhamzadagāñ
hanūt jis ne bhī kī apnī laash kaisā hai
nuqūsh-e-maslak-o-minhāj hī batā.eñge
vo ḳhush-mizāj hai yā bad-qimāsh kaisā hai
havās-bhāḳhta jis se haiñ āsmān-o-zamīñ
batā vo sāneha-e-dil-ḳharāsh kaisā hai
vo jī rahā thā duāoñ ke saḳht narġhe meñ
hisār-e-zāt huā paash paash kaisā hai
vajūd us kā thā ā.īna-e-tilismātī
vo aks jis ne kiyā raaz faash kaisā hai
qimār-ḳhāna-e-dil meñ ḳhayāl-e-rañgīñ se
jo shaḳhs kheltā rahtā thā taash kaisā hai
kahīñ to vo bhī tumhārī tarah na ho 'rāhī'
batāo jis kī hai tum ko talāsh kaisā hai
samar se puchh lo zauq-e-tarash kaisa hai
wo dil jo tum ne kiya qash qash kaisa hai
koi to saql gira hoga bahr-e-sakit mein
wagarna phir ye dili irtiash kaisa hai
na taziyat ki zarurat na fikr-e-ghamzadagan
hanut jis ne bhi ki apni lash kaisa hai
nuqush-e-maslak-o-minhaj hi bataenge
wo KHush-mizaj hai ya bad-qimash kaisa hai
hawas-bhaKHta jis se hain aasman-o-zamin
bata wo saneha-e-dil-KHarash kaisa hai
wo ji raha tha duaon ke saKHt narghe mein
hisar-e-zat hua pash pash kaisa hai
wajud us ka tha aaina-e-tilismati
wo aks jis ne kiya raaz fash kaisa hai
qimar-KHana-e-dil mein KHayal-e-rangin se
jo shaKHs khelta rahta tha tash kaisa hai
kahin to wo bhi tumhaari tarah na ho 'rahi'
batao jis ki hai tum ko talash kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.