samjho ki har bala se hifazat mein kaT gai
samjho ki har balā se hifāzat meñ kaT ga.ī
insān kī jo raat ibādat meñ kaT ga.ī
us ko sukūn mil nahīñ saktā faqīrī meñ
umr-e-darāz jis kī siyāsat meñ kaT ga.ī
apnoñ ke vāste maiñ ne sab kuchh luTā diyā
shah-rag bachī thī vo bhī mohabbat meñ kaT ga.ī
qurbānī dī hamesha maiñ ne mulk ke liye
gardan bhī merī us kī hifāzat meñ kaT ga.ī
khoī haiñ kitnī sunnateñ ham ne huzūr kī
dāḌhī bhī is zamāne kī sohbat meñ kaT ga.ī
ham ko to chāhiye thā mohabbat hī bāñTte
afsos hai ki umr ye nafrat meñ kaT ga.ī
rab ke huzūr hāzirī kā jab yaqīn thā
to kyoñ ye zindagī tirī ġhaflat meñ kaT ga.ī
dushvār thā safar yuuñ to 'hādī' ke vāste
lekin ye raah terī rifāqat meñ kaT ga.ī
samjho ki har bala se hifazat mein kaT gai
insan ki jo raat ibaadat mein kaT gai
us ko sukun mil nahin sakta faqiri mein
umr-e-daraaz jis ki siyasat mein kaT gai
apnon ke waste main ne sab kuchh luTa diya
shah-rag bachi thi wo bhi mohabbat mein kaT gai
qurbani di hamesha main ne mulk ke liye
gardan bhi meri us ki hifazat mein kaT gai
khoi hain kitni sunnaten hum ne huzur ki
daDhi bhi is zamane ki sohbat mein kaT gai
hum ko to chahiye tha mohabbat hi banTte
afsos hai ki umr ye nafrat mein kaT gai
rab ke huzur haziri ka jab yaqin tha
to kyon ye zindagi teri ghaflat mein kaT gai
dushwar tha safar yun to 'hadi' ke waste
lekin ye rah teri rifaqat mein kaT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.