samundar bhi agarche kam bahut hai
samundar bhī agarche kam bahut hai
mirī tishna-labī meñ dam bahut hai
bahut din baad ḳhat aayā hai un kā
mizāj-e-dil-barāñ barham bahut hai
ġhalat aḳhbār ne likkhā thā nafrat
yahāñ to pyaar kā mausam bahut hai
agar ronā hai to rone kī ḳhātir
husain ibn-e-alī kā ġham bahut hai
tumhāre qahqahoñ meñ jaan kitnī
hamāre āñso.oñ meñ dam bahut hai
samundar bhi agarche kam bahut hai
meri tishna-labi mein dam bahut hai
bahut din baad KHat aaya hai un ka
mizaj-e-dil-baran barham bahut hai
ghalat aKHbar ne likkha tha nafrat
yahan to pyar ka mausam bahut hai
agar rona hai to rone ki KHatir
husain ibn-e-ali ka gham bahut hai
tumhaare qahqahon mein jaan kitni
hamare aansoon mein dam bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.