samundar is qadar shorida-sar kyun lag raha hai
samundar is qadar shorīda-sar kyuuñ lag rahā hai
kināre par bhī ham ko itnā Dar kyuuñ lag rahā hai
vo jis kī jur.at-e-parvāz ke charche bahut the
vahī taa.ir hameñ be-bāl-o-par kyuuñ lag rahā hai
vo jis ke naam se raushan the mustaqbil ke sab ḳhvāb
vahī chehra hameñ nā-mo'tabar kyuuñ lag rahā hai
bahāreñ jis kī shāḳhoñ se gavāhī māñgtī thiiñ
vahī mausam hameñ ab be-samar kyuuñ lag rahā hai
dar-o-dīvār itne ajnabī kyuuñ lag rahe haiñ
ḳhud apne ghar meñ āḳhir itnā Dar kyuuñ lag rahā hai
samundar is qadar shorida-sar kyun lag raha hai
kinare par bhi hum ko itna Dar kyun lag raha hai
wo jis ki jurat-e-parwaz ke charche bahut the
wahi tair hamein be-baal-o-par kyun lag raha hai
wo jis ke nam se raushan the mustaqbil ke sab KHwab
wahi chehra hamein na-mo'tabar kyun lag raha hai
bahaaren jis ki shaKHon se gawahi mangti thin
wahi mausam hamein ab be-samar kyun lag raha hai
dar-o-diwar itne ajnabi kyun lag rahe hain
KHud apne ghar mein aaKHir itna Dar kyun lag raha hai
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 72)
- Author : iftikhaar aarif
- Publication : Educational Publishing House (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.