samundar ke kinare ek samundar aadamiyyon ka
samundar ke kināre ik samundar ādamiyyoñ kā
hamāre shahr meñ rahtā hai lashkar ādamiyyoñ kā
vahī sīna-figārī hai vahī be-e'tibārī hai
badaltā hī nahīñ hai yaañ muqaddar ādamiyyoñ kā
zamīñ se āsmāñ tak chhā rahī hai ḳhuun kī surḳhī
chhupā hai ḳhair ke parde meñ bhī shar ādamiyyoñ kā
qayāmat se bahut pahle qayāmat kyuuñ na ho barpā
jhukā hai aadmī ke sāmne sar ādamiyyoñ kā
faqat chehre hī ab gard-e-kudūrat se nahīñ dhuñdle
diloñ kā aa.ina bhī hai mukaddar ādamiyyoñ kā
zamīñ yūñhī rahī gar be-gunāhoñ ke lahū se tar
havā ho jā.egā ik din samundar ādamiyyoñ kā
samundar ke kinare ek samundar aadamiyyon ka
hamare shahr mein rahta hai lashkar aadamiyyon ka
wahi sina-figari hai wahi be-e'tibari hai
badalta hi nahin hai yan muqaddar aadamiyyon ka
zamin se aasman tak chha rahi hai KHun ki surKHi
chhupa hai KHair ke parde mein bhi shar aadamiyyon ka
qayamat se bahut pahle qayamat kyun na ho barpa
jhuka hai aadmi ke samne sar aadamiyyon ka
faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle
dilon ka aaina bhi hai mukaddar aadamiyyon ka
zamin yunhi rahi gar be-gunahon ke lahu se tar
hawa ho jaega ek din samundar aadamiyyon ka
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 164)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.