samundar mein khaDe ho ro rahe ho
samundar meñ khaḌe ho ro rahe ho
ye kaisī mailī chādar dho rahe ho
ye duniyā mas.ala allāh kā hai
ye miTTī sar pe tum kyuuñ Dho rahe ho
hamāre āñsuoñ ke jugnuoñ se
sitāro kyuuñ pareshāñ ho rahe ho
samundar ko dikhā kar aag ab kyuuñ
duā kī bārishoñ ko ro rahe ho
jahāñ purkhoñ ke sajdoñ ke nishāñ haiñ
vo galiyāñ ḳhuun se kyuuñ dho rahe ho
sunā hogā hamārā hādsa bhī
hamāre shahr meñ tum to rahe ho
nahīñ gar jān-e-jāñ to dushman-e-jāñ
hamārī jaan ke kuchh to rahe ho
tumheñ to ḳhuub hañsnā chāhiye 'ashk'
hamāre haal par tum ro rahe ho
samundar mein khaDe ho ro rahe ho
ye kaisi maili chadar dho rahe ho
ye duniya masala allah ka hai
ye miTTi sar pe tum kyun Dho rahe ho
hamare aansuon ke jugnuon se
sitaro kyun pareshan ho rahe ho
samundar ko dikha kar aag ab kyun
dua ki barishon ko ro rahe ho
jahan purkhon ke sajdon ke nishan hain
wo galiyan KHun se kyun dho rahe ho
suna hoga hamara hadsa bhi
hamare shahr mein tum to rahe ho
nahin gar jaan-e-jaan to dushman-e-jaan
hamari jaan ke kuchh to rahe ho
tumhein to KHub hansna chahiye 'ashk'
hamare haal par tum ro rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.