samundaron ke safar par hain rahnuma bhi nahin
samundaroñ ke safar par haiñ rahnumā bhī nahīñ
ham aise logoñ kī kashtī kā nāḳhudā bhī nahīñ
yaqīn-e-dil ke liye ālam-e-gumānī meñ
use pukār rahā huuñ to sun rahā bhī nahīñ
ye kis umiid pe āñkhoñ meñ raqs baaqī hai
tū jā chukā tire aane kā aasrā bhī nahīñ
alag alag sī hai samtoñ kā ab safar darpesh
tumhārā haath mire haath se judā bhī nahīñ
hamīñ se raunaq-e-bāzār-e-ishq qaa.em thī
hamāre baa'd to shahroñ meñ kuchh bachā bhī nahīñ
fazā meñ habs hai jangal udaas lagtā hai
‘ajīb dukh hai parindoñ kā chahchahā bhī nahīñ
zabāñ kī daad magar tere lab talak aa.uuñ
maiñ ek lafz meñ simTī huī du'ā bhī nahīñ
tum ek 'umr kī koshish meñ rā.egāñ guzre
harīm-e-dil meñ charāġh-e-vafā jalā bhī nahīñ
maiñ apne qatl kā ilzām kis ke sar rakkhūñ
yahāñ to mere sivā koī dūsrā bhī nahīñ
samundaron ke safar par hain rahnuma bhi nahin
hum aise logon ki kashti ka naKHuda bhi nahin
yaqin-e-dil ke liye aalam-e-gumani mein
use pukar raha hun to sun raha bhi nahin
ye kis umid pe aankhon mein raqs baqi hai
tu ja chuka tere aane ka aasra bhi nahin
alag alag si hai samton ka ab safar darpesh
tumhaara hath mere hath se juda bhi nahin
hamin se raunaq-e-bazar-e-ishq qaem thi
hamare ba'd to shahron mein kuchh bacha bhi nahin
faza mein habs hai jangal udas lagta hai
‘ajib dukh hai parindon ka chahchaha bhi nahin
zaban ki dad magar tere lab talak aaun
main ek lafz mein simTi hui du'a bhi nahin
tum ek 'umr ki koshish mein raegan guzre
harim-e-dil mein charagh-e-wafa jala bhi nahin
main apne qatl ka ilzam kis ke sar rakkhun
yahan to mere siwa koi dusra bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.