sanbhaal qalb-o-jigar tegh uTha nazar na bacha
sañbhāl qalb-o-jigar teġh uThā nazar na bachā
tirā gumāñ ye ġhalat hai ki koī sar na bachā
koī diyā koī bādal koī shajar na bachā
havā chalī to koī naqsh-e-motabar na bachā
sanad liye hue parvāz kī fazāoñ se
maiñ yuuñ zamīn pe utrā ki koī par na bachā
ba-juz amal koī nisbat na kaam aa.egī
ḳhudā ke qahr se to 'nūh' kā pisar na bachā
ajiib ma.arka ye vahm-o-e.atibār meñ thā
usī kī teġh chalī aur usī kā sar na bachā
sanbhaal qalb-o-jigar tegh uTha nazar na bacha
tera guman ye ghalat hai ki koi sar na bacha
koi diya koi baadal koi shajar na bacha
hawa chali to koi naqsh-e-motabar na bacha
sanad liye hue parwaz ki fazaon se
main yun zamin pe utra ki koi par na bacha
ba-juz amal koi nisbat na kaam aaegi
KHuda ke qahr se to 'nuh' ka pisar na bacha
ajib marka ye wahm-o-eatibar mein tha
usi ki tegh chali aur usi ka sar na bacha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.