sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin
sañg-e-jafā kā ġham nahīñ dast-e-talab kā Dar nahīñ
apnā hai us par āshiyāñ naḳhl jo bārvar nahīñ
sunte ho ahl-e-qāfila maiñ koī rāhbar nahīñ
dekh rahā huuñ tum meñ se ek bhī raah par nahīñ
maut kā ghar hai āsmāñ is se kahīñ mafar nahīñ
nikleñ to koī dar nahīñ bhāgeñ to rahguzar nahīñ
pahle jigar par aah kā naam na thā nishāñ na thā
āḳhir-e-kār ye huā aah to hai jigar nahīñ
sub.h-e-azal se tā-abad qissa na hogā ye tamām
jaur-e-falak kī dāstāñ aisī bhī muḳhtasar nahīñ
barg-e-ḳhizāñ-rasīda huuñ chheḌ na mujh ko ai nasīm
zauq fuġhāñ kā hai mujhe shikva-e-abr-e-tar nahīñ
munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tū aañkh khol kar
hashr kī jo ḳhabar na de aisī koī sahar nahīñ
shabnam o gul ko dekh kar vajd na aa.e kis tarah
ḳhanda be-sabab nahīñ girya be-asar nahīñ
tere faqīr kā ġhurūr tājvaroñ se hai sivā
tarf-e-kulah meñ de shikan us ko ye dard-e-sar nahīñ
koshak o qasr o bām-o-dar tū ne binā kiye to kyā
haif hai ḳhānumāñ-ḳharāb dil meñ kisī ke gher nahīñ
nāla-kashī raqīb se merī tarah muhāl hai
dil nahīñ hausla nahīñ zohra nahīñ jigar nahīñ
shātir-e-pīr-e-āsmāñ vāh-rī terī dastburd
ḳhusrav o kaiqibād kī teġh nahīñ kamar nahīñ
shaan karīm kī ye hai haañ se ho peshtar atā
lutf atā kā kyā ho jab haañ se ho peshtar nahīñ
laakh vo be-ruḳhī kare laakh vo kaj-ravī kare
kuchh to malāl is kā ho dil ko mire magar nahīñ
sun ke burā na māniye sach ko na jhuuT jāniye
zikr hai kuchh gila nahīñ baat hai neshtar nahīñ
sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin
apna hai us par aashiyan naKHl jo barwar nahin
sunte ho ahl-e-qafila main koi rahbar nahin
dekh raha hun tum mein se ek bhi rah par nahin
maut ka ghar hai aasman is se kahin mafar nahin
niklen to koi dar nahin bhagen to rahguzar nahin
pahle jigar par aah ka nam na tha nishan na tha
aaKHir-e-kar ye hua aah to hai jigar nahin
subh-e-azal se ta-abad qissa na hoga ye tamam
jaur-e-falak ki dastan aisi bhi muKHtasar nahin
barg-e-KHizan-rasida hun chheD na mujh ko ai nasim
zauq fughan ka hai mujhe shikwa-e-abr-e-tar nahin
munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tu aankh khol kar
hashr ki jo KHabar na de aisi koi sahar nahin
shabnam o gul ko dekh kar wajd na aae kis tarah
KHanda be-sabab nahin girya be-asar nahin
tere faqir ka ghurur tajwaron se hai siwa
tarf-e-kulah mein de shikan us ko ye dard-e-sar nahin
koshak o qasr o baam-o-dar tu ne bina kiye to kya
haif hai KHanuman-KHarab dil mein kisi ke gher nahin
nala-kashi raqib se meri tarah muhaal hai
dil nahin hausla nahin zohra nahin jigar nahin
shatir-e-pir-e-asman wah-ri teri dastburd
KHusraw o kaiqibaad ki tegh nahin kamar nahin
shan karim ki ye hai han se ho peshtar ata
lutf ata ka kya ho jab han se ho peshtar nahin
lakh wo be-ruKHi kare lakh wo kaj-rawi kare
kuchh to malal is ka ho dil ko mere magar nahin
sun ke bura na maniye sach ko na jhuT jaaniye
zikr hai kuchh gila nahin baat hai neshtar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.