sang hathon mein sanam sine mein hai
sañg hāthoñ meñ sanam siine meñ hai
but-kada dil meñ haram siine meñ hai
haa.e haa.e apnī nādānī na pūchh
lā zabāñ par aur ni.am siine meñ hai
pusht kī jānib jhukā jaatā hai dil
saaf dikhtā hai ki ḳham siine meñ hai
sochtī āñkhoñ ke raste chāra-gar
dard utrā dam-ba-dam siine meñ hai
bar-zabāñ duniyā-e-do rañg-o-rasad
par miyāñ mulk-e-adam siine meñ hai
garche achchhā huuñ to kyuuñ achchhā huuñ maiñ
bas yahī 'abrār' ġham siine meñ hai
sang hathon mein sanam sine mein hai
but-kada dil mein haram sine mein hai
hae hae apni nadani na puchh
la zaban par aur niam sine mein hai
pusht ki jaanib jhuka jata hai dil
saf dikhta hai ki KHam sine mein hai
sochti aankhon ke raste chaara-gar
dard utra dam-ba-dam sine mein hai
bar-zaban duniya-e-do rang-o-rasad
par miyan mulk-e-adam sine mein hai
garche achchha hun to kyun achchha hun main
bas yahi 'abrar' gham sine mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.